electric-current-computer-case |
Hi minders!! aaj hum fir se lekar haajir he kuch anokhi and nayi baatey jiske baare me axar kayi logo ko ideas nahi hote he aur hum vahi dhundhane ki koshish karte he aur hamara kaam yahi he ki aap logo ko kuch esi baatey yaad dilana jiske baare me kayi logo ko pata nahi hota he isiliye hum log aapki hi bhasa me aapka solution laane ki koshish karte he.har ek chhoti se chhoti baat hum aapko batana cahhte he. aap chahe to comment me question puchh kar hamey article suggest kar sakte he. jissey hame pata chale ki hamaare readers ko problems kya he jissey hum kuch hi vaqt me uss topic par article banayenge. aur issey hamey bhi idea mil jaayega and aapki bhi problem solve ho jaayegi. so please comment ke dhvara apni problems jarur post kare.
Aaj hum batayenge Electric Current on Computer case. aur uska solution ek hi he aur woh he ground wire ko connect karna.
☻ Electric Current on Computer Case
Jyadatar log yahi sochate he ki bus fuse lagaado aur jab bhi bijali chali jaaye ya chali aaye tab fuse ko hi nuqsaan hoga aur hamara system ko kuch nuqsaan nahi hoga. lekin ye aapka sochana bilkul galat saabit hoga jab me aapko bataunga ki bina ground wire aapke system bandh hone ka khatara he. dosto aap jaante hi honge ki bina Ground wire ke aap ka pc ke baahari bhaag me bhi aap electric Current ka jhatka mehsus karte honge and aapki system ka nuqsaan hone ka bhi khatra rehta he. to aaj hum jaanenge ki ki 1.ground wire ko connect kese karte he , 2.ground wire ko jameen me lagaya kese jaata he and 3.Electric Current on Computer Case me Ground Wire ke faayde aur Nuqsaan.☺ 1.Ground Wire ko Connect kese karte he
Ground wire ek tarah ka simple taar hi he jo ki jaameen ke andar jyada bhejvaali jagah me se aapke computer board and freeze board ya fir purey house ka electric system connect kiya jaata he. jissey aapki electric system ko nuqsaan ka khatra tal jaata he. isko connect karne ke liye aapko sabse pehle apne computer ka electric board open karna he aur usme ek extra taar aata he jo ki isko lagane ke liye hota he lekin agar aapko samjh nahi he to fir electric helper ki madad se ye taar judvaaye.☺ 2.Ground wire ko jameen me lagaya kese jaata he
Wire ko jameen me lagane ke liye aapko jali huvi lakdi(koyla),namak and ek lohe ka15*10 inch size ya ussey badi size ke ek khile ki jarurat padegi. sabse pehle aapne jo electric board me jo wire connect kiya he(step 1 check kare) uss wire ko 15*10 inch size ke lohe ke khile ke saath connect karle.us ke baad aapko ek comfortable aur bhejvaali jagah pe khadda khodana he. aur uss khade me 500 gram koyla daale aur fir uske baad 500 gram namak fir se ek baar 500 gram koyla aur 500 gram namak daale. uske baad woh loha jo kI wire ke saath connected he ussey rakhde aur fir uss khadde ko bandh ke andar mitti bharke bandh kar dena he.☺ 3.Electric Current on Computer Case me Ground Wire ke faayde aur Nuqsaan
1.Electric Current on Computer Case me ISS WIRE ke nuqsaan and 2.Electric Current on Computer Case me ISS WIRE ke faayde► 1.Electric Current on Computer Case me ISS Wire ke Nuqsaan
→ Vese dekha jaaye to Ground wire ka 0% bhi nuqsaan nahi he balki ye to har jagah use kiya jaata he. ha ek baar dhyaan me jarur rakhe ki ye wire new use kare crack wire use na kare.► 2.Electric Current on Computer Case me ISS Wire ke faayde
→ Isko lagana ek dam saral he and aap free me issey laga sakte he lekin aapko iski chijo ka kharch ho sakta he lekin ye bahut hi cheap rate me aap istemaal kar sakte he.→ Iss se aapke Computer ya other device me shock lagne ka khatra tal jaata he
→ Monsoon me baarish ki vajah se baar baar bijali chali jaati he ese me aapne agar ye wire nahi lagaya hoga tab aapke house ki electric system ko khatara he and aapke house ke saare device ko bhi khatara he.
☺ Article Summary
Aap apne freeze,cooler,AC,TV ya purey house ki electric system ke liye ye trick apply kar sakte he. aur aapne iss article me sikha ke kese wire JAMEEN lagaake electric shock se bacha jaa sakta he and computer system ko bhi bachaya jaa sakta he lekin aapko ye jaankar khushi hogi ke ye idea aap Electric Current on Computer Case ne hi nahi balki puri system ke case me ye idea apply kr sakte he.You may also like :-
Iss article ko share jarur kare !!!! aur agar koi savaal he to niche comment darj kare.
No comments:
Post a Comment