How To Hide Subscribe To Posts (Atom),Subscribe To Post Comment And Below Home Link-In Hindi,Urdu


how-to-hide-subscribe-to-posts-atom
how-to-hide-subscribe-to-posts-atom


Hello minders!!!
Sabhi log chahte he ki khud ka blog ek professional website ki tarah lage lekin Subscribe to posts atom,subscribe to posts comment and jo niche home likha aata he ussey aapka blog professional nahi dikhega. lekin agar aap issey rakhana chaahate ho to rakh sakte ho iske faayde bhi he ussey aapka member aapki comment feed url se direct join ho jaayega and niche home button pe click karke sidhe home pe chala jaayega. lekin fir bhi agar aap ussey hide karna chahte he to bilkul kar sakte he. aap agar chahe to bina hosting wordpress ya extra mehngi design-theme liye bhi aap apne blogger blog ko Seo friendly,visitor friendly and professional looking bana sakte he. or ye sab Aap totally free me kar sakte he. me aapke blogger ko seo friendly and professional looking banane me madad karunga bus aap Mindedbro par ye sabhi jaankari jaan paayenge. Bus aap daily updates check karte rahiye.
                  Aayiye hum niche "How to hide subscribe to posts (atom),Subscribe to post comment and below home". topic ko discuss karte he.



 ☻  How to hide subscribe to posts (atom),Subscribe to post comment and below home

 Vese sabhi bloggers in dono cheezo ko rakhna pasand nahi karte he kyuki ussey aap ko uncomfortable feel hota he. aur attribution widget bhi 98% blogger rakhna nahi chahte he to ye saari chizo ko aapko hide karna jaruri he. ye teeno chiz hide karne ke liye Ye 2 steps ko follow kare 1.How to hide subscribe to posts (atom) and Subscribe to post comment. and 2.How to remove home in below article.



 ☺  1.How to hide subscribe to posts (atom) and Subscribe to post comment

Sabse pehle aapko ye jaanana jaruri he ki ye dono link aap sirf ek hi code se remove kar sakte he. so aap niche diye gye steps follow kare.

1.Sabse pehle aap blogger open kare.
2.Ab aap Template>customize>advanced>add CSS aur niche diya gaya code copy(Ctrl+c) karle
  
.feed-links {display:none !important;}

3.Ab ye code ko box me past(Ctrl+v) karde.
4.Congrats!!! ab aapka subscribe to posts (atom) and Subscribe to post comment dono links remove ho chuke he.


 ☺  2.How to hide Home-link in below of article

Ye code se sirf post ke niche vala home remove hoga balki header ka home remove nahi hoga isliye aapko tension lene ki jarurat nahi he. to home link remove karne ke liye steps follow karne he jo niche mojud he.

1.Apna blogger account khole.
2.Ab aap Template>customize>advanced>add CSS aur niche diya gaya code copy(Ctrl+c) karle.

 .home-link { display: none; }

3.Iss Code CSS box me past(Ctrl+v) kar dijiye.
4.Congratulation!!! ab aapka post ke niche vala home link remove ho gaya he ab aap uss blank space ko koi bhi widget laga sakte he jese ki social media share buttons,related post etc.  ya fir aap ussey ese hi chhod doge to bhi koi aapatti nahi he.
                           To iss article me aapne jana ki kis tarah se subscribe to posts (atom) ,Subscribe to post comment. and  home link in below of article remove karte he. to ummed he aapne ye teeno links hide kar diye honge. vese dar asal ye remove karna jaruri he kyuki inse blog ka balance nahi rehta he. lekin agar aap hide na bhi kare to bhi aapke liye ye accha he. agar meri baat kare to mene to ye teeno hide kar diye he. kyuki mujhe niche blank space chahiye tha related articles widget Add karne ke liye.to aap bhi iss tarah se koi bhi widget daal sakte he me aapko social media share icons and related articles jesi badhiya widgets daalne ko suggest karunga. kyuki jab bhi aapka visitor article padhte padhte aayega to sidha uski najar post ke niche vaale hisse pe padegi agar vaha pe related post widget hogi to woh sidha another article par transfer ho jaayega. aur agar post ke blikul niche agar social media icons hoge tab aapke visitors sidha post padhne ke baad share kar dega to in dono cheeze add karne ka bahut bada benefit he. aur ye benefit paane ke liye aapko ye teen link remove/hide karna bahut jyada jaruri he.

You may also like:- payza account-how can create payza account without any future verification issue?-you will get fresh payza account.

Iss article ko  share jarur kare !!!!  aur agar koi savaal he to niche comment darj kare.

No comments:

Post a Comment