Affiliate Marketing Programs Se Paise Kaise Kamaye-Hindi Me


Affiliate-Marketing-Programs
Affiliate-Marketing-Programs

Hi minders!! yahape sabhi log minders he bas jarurat he ki unke mind ko jhinjhod ne ki. So dosto yaha pe har koi money kamana chahta he. Har ek aadmi ko money bhai(MB) banna he. Lekin problem ye he ki hame uske baare me bahot knowledge lene ki jarurat hoti he. Hamne dekha he ki jyadatar bloggers yahi karte he ki unhone site banali aur kuch vaqt ke baad jab adsense ke liye apply kiya to 100% reject hota he. Ha ye baat alag he ki aap YouTube ke dhvara monetize kiya huva adsense use kar sakte ho lekin jo genuine hota he woh genuine hi rahega. Lekin niraash na ho jaao aapke pass sekdo option available he jo ki aapko blog se paisa kamakar denge aaj hum unhi me se ek option aapke liye lekar aaya hu aur wo he Affiliate Marketing Programs. Platform Chahe kisi bhi company ka ho lekin hum yaha pe in sab ke baare me baat karne nahi aaye he. hum yahape ye dekhenge ki affiliate se paise kaise kama sakte he.
                                                                                 Aapne dekha hoga ki jyadatar expert bloggers marketing hi choose kar rahe he. Me ye nahi kahta hu ki adsense se better affiliate he balki me ye kehna chah raha hu ki adsense only kamayi ka source nahi hota he aur bhi badhiya tarike aap choose kar sakte ho. Ha lekin ek baat to he ki Adsense Sabse pehla choice rakhna chahiye aur agar usime rejection mile tab jakar Doosare ke baare me sochana chahiye. Mene jab adsense ke liye apply karne ki sochi thi tab mene another option bhi choose kare huve the jese ki chitika,infolinks Aur marketing Etc. Mera blog instantly Google Adsense me approve ho gaya tha. Google adsens ko approve karvaane ke liye aapko sirf or sirf ek hi baat dhyaan me rakhni he "terms". Me iske baare me vistrut jaankari aapko dunga lekin filhaal hamara topic ye he ki "affiliate marketing programs se paise kese kamaye jaa sakte he?"


Affiliate Marketing Programs Se Paise Kaise Kamaye

Marketing ke baare me har blogger ne bahot suna he aur kayi logo ne join bhi kiya he lekin ad placement and management thik tarike se na hone ke kaaran unhe 100% result nahi milta he. Hamey jarur he in Galtiyo ko sudhaarane ki. Aur hamey ye Learn karne ki Jarurat he ki kis tarah se hum kam Traffic me Profitable income paa sakte he.  Marketing programs se paise kamaane ke liye aapke blog me minimum 1000-1500 traffic Requirement he. Aur ye strategy sirf aur sirf English bloggers ke liye he. hindi bloggers ko inse Earning kam hogi. Agar in sab baato ko dhyaan me rakha jaaye tab Aap monthly $1000+ tak bana sakte ho. Agar aapko 30% English aati he to aap ka problem me solve kar deta hu. Aapko karna ye he ki aapko google input tools ka istemaal karke hindi language type karna he and ussey google transalate ke dhvara English me transalate kar dena he jissey aap english articles bana paaoge aur dhyaan rahe sabhi articles 700+ words ke hone chahiye. to iss idea se aap apne blog ke liye english articles banakar affiliate marketing me apna Career banana start kar sakte he.
                 1.Affiliate Marketing Programs kya he , 2.Best Affiliate marketing platform kese choose kare aur 3.Affiliate marketing programs ko manage kese kare.


 ☻  1.Affiliate Marketing Programs kya he


Affiliate Marketing programs ek tarah ki company ka jooth he jo ki apni products selling badhane ke liye Affiliate programs launch karti he aur referral System bhi launch karti he. Aap jese hi Marketing programs join karte he vese hi aap company ke kuch % partnership aapki ho jaati he. Ab aapko kya karna he,aapko sirf uss company ke products apne blog pe promote karne hote he aur aapka koi visitors aapke through uss company ka product buy karta he to aapko comission milta he. Ye company aapko 10% se lekar 25% tak bhugtaan de sakti he,Agar iska sahi tarike se istemaal kiya jaaye tab. Aap ke pass Marketing programs ke liye bahut se option he aur aaj kal to sabhi company apne Affiliate launch karti he to aap jis category ki marketing karna chahte ho,woh category aap istemaal kar sakte ho. To online earning karne ke liye Affiliate Marketing programs ek accha vikalp he.
                                   

Shopping Websites 

Shopping Website jese ki Amazon,Flipcart,Snapdeal,Ebay jesi company ke products aap sell kar sakte he. Ye company clothes,makeup,shoes,computer,Electronics,books aur bhi bahot kuch provide karti he. Aur inse aap monthly acchi income kar sakte ho.

Web hosting/domain platforms

Web hosting and domain platforms bhi issey provide karti he. Agar aapke website through koi member domain ya Hosting leta he to aapko 10% se 25% tak commission mil jaata he. Example:-Hostgator,Bluehost and Godaddy jesi compny Domain aur web-hosting ke liye top level compny he.

Matrimony websites

Matrimony websites jese ki Shaadi.com,bharatmatrimony.com,lifepartner.in jese bahut saari websites iss programs ko provide karti wo aapke blog through agar koi joining karta he to aapko comission milta he aur saath me koi company bonus bhi deti he.

Other company

Other me aap dekh sakte he ki hazaaro company aapko affiliate provide karti he For example Vodafone,idea,Airtel  jesi company bhi issey provide karti he. Aur bhi aap alag alag Subject par aap iss programs apne hissab se join kar sakte he.


 ☻  2.Best Affiliate marketing platform kese choose kare 


To dosto yadi aap ki site kisi aur subject par ho aur aapne another subject ka affiliate join kar liya to aapki income ke chances 0% ke barabar he. Jyadatar log yahi galtiyaan karte he. For Example:- Agar aap ka Blog blogging ke subject par he aur aapne Clothes ki marketing start kardi to aapki income nahi hogi. Ha agar aapka blog pe 6,000-10,000 se jyada visitors he,To thode bahut chances he kamayi karne ke lekin me jo ye information provide kar raha hu woh low traffic blog ke liye he,Isliye me bol raha hu ki aapki income 0% hogi. So sabse jyada jaruri ye he ki sahi platform ka chunaav kiya jaaye.
                                                            Agar aapka blog blogging ke vishyak he to aapko hosting and domain company ke Affiliate marketing programs ko join karna chahiye. jissey aap ke blog me agar 1,000-1,500 traffic hogi tab bhi aap Earn kar sakte ho. Aur vese bhi Affiliate marketing ki income Blind income hoti he. Kabhi bhi aapka selling badhne par jyada paise bhi mil sakte he. Aur isme jyada traffic hone par aap bahot paisa kama sakte he. So aap ka blog jis vishay par ho uss vishay se related  platform hi choose kare jissey aapko profitable earning hogi. For example Agar aap ka  Blog earning se related subject par he to aap infolinks referral program use kare jissey aapke aapke visitor issey inspired honge.
                                                             


 ☻  3.Affiliate marketing programs ko manage kese kare


Low traffic blog me Affiliate program Choose karne ke baad sabse bada savaal yahi hota he ki ad placement kese kare?. Aur bhi bahut si baate he jo aapko posting karte vaqt dhyaan rakhna he aur Offers ko dhyaan me rakhna he. Hum aapko low traffic me jyada earning kese ki jaaye woh yahape batana chahte he. Uske liye aapko in sab baato ko dhyaan me rakhna chahiye.

Ad placement kese kare

Meri iss strategy ko dhyaan me rakhte huve aapke blog pe minimum 1000-1500 traffic required he agar ussey kam traffic he to fir aap issey use nahi kar paaoge aur English Blogger hi issey Earn kar paayenge. Aapko ad placement karne ke liye aapko sabse pehle ye dhyaan me rakhna he ki aapki company ke Discount offer kya he. Aapki Company jo har tyohaar(festival) me kuch na kuch discount ya awesome offers provide karti he to ese offers ko dhyaan me rakhe aur ese offers vaale Ads hi aap use kare jissey aapki Sell ke chances 50% badh jaate he. Coupon code create kare or uss ad ko aap post kare. Ad placement ki sabse best jagah title ke niche aur right side up best jagah he aap chahe to side banner bhi use kar sakte he aur dhyaan rahe ki ek se jyada Category ke banners istemaal na kare jissey visitor confuse ho jaayega. jissey related post he uss se related banner hi post kare. 

Offers and promotion kese use kare

Coupon code ka istemaal kare aur ussey related article banaaye aur usme apna link daale aur apne visitors ko coupon code offer kare. Jissey aapke visitors jald hi uss offer ko grab kar lenge. Aap ke articles jis vishay pe he uss vishay se related post ad placement bhi kare.

To pyaare mitro aapne dekha ki kis tarah se affiliate Marketing Programs se Earning ki jaa sakti he and uske liye kya requirement hoti he. Agar aapke pass bhi affiliate marketing ko lekar kuch new ideas he to aap comment ke dhvara issey share karna na bhule jissey Readers ko aur bhi jyada jaankari haasil ho aur unhe pata chale ki affiliate marketing Programs kyu better he.

You may also like:- Redirection-How to redirect your url/link to other url/link ?

Share kare aur Agar koi question he to comment darj kare!!!

No comments:

Post a Comment