Move blogger navigation menu widget above header-Navigation header ke oopar kese move kare in hindi

Blogger navigation menu widget
Blogger navigation menu widget


Hi !! readers. aaj me aapke liye ek bahot hi badhiya tutorial lekar aaya hu jo shayad 80% bloggers bilkul nahi jaanate he. aur ye tutorial hindi me he taaki hamaare hindi-urdu readers ko aur jisko english nahi aata woh log bhi ye use kar paaye Blogger navigation menu widget ko header ke opar lagaoge tab aaapka blog jyada accha lagega aur issey aapke readers ko bhi aapka blog read karne me sahayata hogi kyuki agar aap Blogger navigation menu widget ko oopar ki taraf le jaayenge tab aap ke pass jo sapce bachega usme aap other navigation HTML/CSS widget bhi add kar payenge jissey aapke blog me ek jaan aa jaayegi. aur issey visitors ko bhi aapka blog padhneme aasani hogi.




 ☺  How to Move Blogger Navigation Menu Widget Above Header 

Aap ko in tutorial ko karne se pehle aapko bahut si baate dhyaan me rakhni he kyuki me nahi chahta ki aap apna blog hamesha hamesha ke liye kho de. aapko ye tutorial apne blog me apply karne se pehle apne blog ko Backup karna he. aapke blog ko backup kese karna he woh aap niche step 1 me read kar paayenge. jyadatar bloggers axar ye galtiya kar bethate he woh log bina backup kiye hi apne template ke andar koi bhi kesi bhi trick apply kar dete he jissey agar koi galati hone par aapka blog ki desig change ho jaati he ya fir error aane lagti he ya fir pura pura blog hi gayib ho jata he.... Lolzx
                                                  apke saamne ab do step he step 1:- How To backup Your template  and step 2:- How to Move Blogger Navigation menu widget above header.



 Θ  How to Backup Your Template                                                                        

Jesa ki mene aapko pehle bataya ki aapke template ko backup karna bahut jaruri he taaki agar koi garbad ho to aap instantly aap apna blog vaapis install kar paaye aur apni saari chije vaapis le paaye aur ye bahut jaruri chije he issey bikul bhi ignore nahi kiya jaa sakta. to apne temlplate ko download jarur karle.
                                              Sabse pehle Blogger me jaakar apna blog select kar uske baad Template option me jaakar oopar right side me ek option hoga Backup/restore. usme jaakar aap download full template pe click karke Download karle.
                                To ab aap template ko backup/restore kese karna he woh aap sikh gaye honge agar fir bhi aapko samjh nahi aaya to aap liye niche Comment ke darvaaje hamesha khule he. asal me HTML body me aap agar koi changes laate he aur koi garbad ho jaaye to bahut hi badi problem ho jaati he saari mehnat aur time barbaad ho jaata he isliye paani aane se pehle deewar khadi kar deni chahiye chahe koi bhi kaam kyu na ho. to Blogger navigation menu widget ko oopar move karne se pehle aap ye baat apne dimaag me utaarle.



 Θ  How To Move Blogger Navigation menu Widget Above Header                      

Ummed he aapne apna template Downoad kar liya he. to ab aap sidhe Template>edit HTML pe chale jaaye vaha pe jaake aapko CTRL+F dabana he aur vaha pe aapko  <div class=’tabs-outer’> code find karna he. jese woh code highlight ho jaaye tab aap <div class=’tabs-outer’>  se lekar  <div clas=’main-outer’> ke aage tak aapko code select karna he. aur dhyaan rahe aapko <div clas=’main-outer’> select nahi karna he. sirf uske aage tak hi select karna he.
                             Ab aap ko pure ke pura code cut karna he. select kiya huva code cut kar le aur CTRL+F dabakar <head> tag search kare. aur ye sara code aapko <head> tag ke niche past kar dena he ya fir CTRL+V dabaaye. ab aapko uss code ke thik niche do aur line add karni he.

<br />

<br />

Ab aap  preview template par click kare aur sab kuch thikthaak ho chuka ho tab aap save template pe click karke save karle. Fir aap ke aapka blog ka navigation bar header ke oopar move ho gaya he. ab aap issey enjoy kare.
         Jyadatar logo ko ye tutorial malum nahi he to isi liye mene ye article add kara he taaki un saare logo ko iss baat ka pata chal paaye aur jissey malum he woh bhi ek baar study jarur karle taaki unki idea taazi ho jaave.
junk files-Problem how to remove junk and temp files by run command ?

Iss article ko  share jarur kare !!!!  aur agar koi savaal he to niche comment darj kare.                                             

No comments:

Post a Comment