Be aware daily for pc health-Apne computer ki acchi health ke liye daily itana jarur kare-nahi kiya to pc ko har mahine repair karvana pad sakta he

Be aware daily for pc health
Be aware daily for pc health
Be aware daily for pc health- hum harroj apni khud ki dekhbhaal karte he jese ki brush karna,nahana,achhha khoraak khana,kasrat karna etc. lekin jis tarah se aap apni dekhbhaal karte ho ussi tarah se pc/laptop ki bhi dekhbhaal rakhana bahut jaruri he varna aap ka computer thode thode time pe aapke kaan ke niche kharche pe kharcha,i mean kharcha pani de sakta he. to abhi se saavdhaan ho jaaye aur apne computer ko kharaab hone se bachaaye.....[....]
favicon maker-How to add favicon in blog-you can add any small image for your blog

Ye 10 kaam jarur kare
kaam no.1:- Sabse pehle PC/laptop me Ccleaner download karle aur ussey daily run kare aur issue bhi scan kare aur issue fix karle uske baad aapko computer ki speed me instant badhava dikhega. issue fixed karna bahut jaruri he.

kaam no.2:- Disk cleanup run kare my computer>system drive me jaakar right click karke properties select kare aur fir disk cleanup pe click kare aur all file select karke ok kare.agar chaho to aap ye kam do din me ek baar kar sakate he.

kaam no.3:- Disk defragment run kare my computer>system drive me jakar right click karke properties pe jaaye aur tools me jakar defragment now pe click kare aur fir ek ke baad ek drive select karke analyze aur defragment kare. aur ha ye kaam aap harroj karo to accha he lekin aap chahe to 7 dyas me ek baar kar sakate he.

Kaam no. 4:- Anti virus run kare. aapko anti virus harroj run karna he anti virus acchi quality ka hona chahiye jese ki Escan,Quickheal etc. jo malware,spyware etc. jo har tarah ke virus ko scan karte ho. ram ki size badhaale jissey coputer ki speed badhegi.

 
Kaam no. 5:- Ye information aap yaha padh sakte he.

Kaam no. 6:- Pc ko esi jagah rakhe jaha thodi hava aati ho aur thoda sa khula vaatavaran ho aap dabbey ko kisi esi jagah rakh denge jaha pe chiti-chuhey bhi nahi gujar sakte ho  to aapka pc kuch hi dino me hit hone lagega. aur har 2 mahine pc ke kone kone ko air brower se saaf jarur kare.aur computer ko har saal format karvaaye.

Kaam no. 7:- Pc me extra cooler fan jarur lagaaye jissey aapka pc thanda rahega aur hit nahi hoga aur restart nahi hoga. aur pc ko thanda rakhenge to aapke liye koi pareshani nahi rahegi aur computer ki health bhi sudharegi. desktop pe extra shortcut ko remove kare aur wallpaper bhi high quality ka na rakhe issey bhi speed kam ho sakti he.

Kaam no. 8:- Hamesha pc me faltu aur virus vaali website ko block kare uski jaankari aapko yaha se milegi. Internet ka istemaal karte ho to virus aana aur hang hona swabhavik he ussey dare bina aap ye saara tutorial regular follow kare.

Kaam no. 9:- Pc ko harroj directly bandh na kare sabse pehle turn off kare aur saare program ko bandh hone do jab pc apne aap bandh ho jaaye tabhi PC ke board ka button off kare. agar aapne esa nahi kiya to aapki windows corrupt ho sakti he ya fir aapka power supplayer bandh ho sakta he.

Kaam no. 10:- Pc ke andar daily bina kaam ki cassettes na daale aur faltu ki pen-drive/card reader bhi naa daale ussey virus aa jaata he agar aapke pass anti virus ho tab koi problem nahi he lekin fir bhi bina kaam ki chije pc me enter na kare. aur computer ko password se protect kare.

Agar aapke Computer ya laptop me koi problem he to comment darj kare and keep sharing !!!!!!!!!!!


No comments:

Post a Comment