dahi vaali arhar daal kese cook karte he ?-simple daal se alag he ye

Arhar daal
Arhar daal
Arhar daal-vese aaj hum  aapke liye ek best cooking tips lekar haajir he. hamaare female visitors ke liye ye ek khaas article he. vese arhar daal to aap 7 din me ek baar banaate hi ho lekin agar dahi vaali alhar daal ki baat aaye tab aap bhi soch me pad jaaoge ki iska test kesa rahega ? lekin ha ye sach he iska test superb he aap ek baar ye try karke dekh lo...[....]
Navigation bar-How to create perfect and SEO friendly pages navigation bar for blog or websites
Konsi chije chahiye ?Aapko isko pakaana he to sabse pehle aapko in chijo ko lana padega aadha cup arhar daal,aadha chammach haldi,namak,ek chammach jira,aadha cup suxm kate huve pyaaj,dedh cup mirchi powder,do cahmmch dhaniye ka powder,ek chammch jira powder,aadhi chammch chane ka aata,aadha chammch chane ka lot paani me bhigoya huva,aadha cup patla dahi,do chammch suxm kati huvi hari dhniya.

 
Kese paka sakte he ?
Sabse pehle aapko arhar dal ko saaf kar lena he aur fir ussey paani me do ya teen ghantey bhigo kar rakhana he. ab ek pressure cooker lelo aur usme ek cup paani aur uske saath daal,haldi aur namak daal ke usko ublaa kar rakho.
            ab iska dhakkan hata kar uske andar ka sab bhaap nikal jaane do. aur fir uske andar ki sab daal nikaal kar ek side me rakh do.aur fir ek nonstick pen me medium aag se jab garam ho jave tab jira daal kar ussey 30 second rahne do.
            ab aapko usme aapko ag kam karni he aur usme pyaaj daalna he aur usko jab tak woh brown colour ke na ho jaaye tab tak usko andar hi rehne do.fir usme ubali huvi daal,mirchi powder,dhaniya powder aur jira powder daal doaur ek minute rehne do aur dhyaan rahe ki un sabhi chijo ko kuch time tak misr karna he i mean usko hilana he taaki woh ssaari chije achhey se mix ho jaave.
             aap usme abhi chane ka aata aur dahi mix karke 5 minute tak ubalne do aur jab ubal jaaye tab usme aapko hari dhaniya lekar usko sajana he done!!! aapne dahi vaali arhar daal pakali he ab aap usko chahe to sabme baat sakte he. enjoy dahi vaali arhar daal !!!!!!!!!

agar koi baat samjh na aayi ho to comment darj kare aur sharing continues rakhe

 tips to quit smoking-smoking and tobacco bahot hi buri lat he ussey avoid kare aur cancer aur dusari badi bimariyo se bachey

No comments:

Post a Comment